Tuesday, August 29, 2006

Hamara samaj

yaro mujko rat kal
ek aisa sapna aya
sab logo ko lekar maine
sunder ek samaj banaya

uttar-dakshin-purab-paschim se lekar mitti thodi
prem-pyar aur sad-bhav ke dhagoon se kadia jodi

thode-thode rang liye, maine har, kinaro se
sikha maine sath raho asman ke taroon se

is samaj main hum sab parijan
haath mila kar chalte the
udhad gaye, dhage bandhan ke
unko milkar silte the

wo tum ho, ye main hoon, eise,
kuch bhi nahi hone wala
kya mata ne hamko bhi
bhed bhav se hai pala

us gulshan main, har podha tha
phool waha har, khilta tha
ek-duje se, har prani
gale laga kar milta tha

phir maine dekha ek din
gulshan baant diya tumne
prem dhaga beetch hamare
kaise kaat diya tumne

alag-alag phir sonch hui
alag-alag rahoon main tum
chalte-chalte bhatak gaye
door hue apno se tum

phir tumne bhasha baanti
baanta apna rahan-sahan
baant diye tumne kaise
saalo se bante bhandhan

mana ungli se milkar
mutthi puri hoti
lekin is mutthi se he
dil main duri hoti hai

anandit ho apne
to man anandit hoota hai
nam bhai ka ho agar to
bhai kon sa roota hai

wo to apne nahi the jin ne
do bhago main kaat diya
lekin tumne kaise hamko
yu hisso main baant diya

ye hissa mera aur
wo hissa tumhara hai
main to kahta yaro
"Hindunstan Hamara Hai"

For Ashutosh Bhatia

No comments: